Sun Sahiba Sun from Movie Ram Teri Ganga Maili



 Sun sahiba sun pyaar ki dhun - 2
 Oh.. maine tujhe chun liya
 Tu bhi mujhe chun chun chun
 Sun sun sahiba sun pyaar ki dhun
 Oh maine tujhe chun liya tu bhi mujhe chun
 Sun sahiba sun pyaar ki dhun
 
 Koi haseena kadam pehle badhaati nahin
 Majboor dil se na ho to paas aati nahin
 Ho.. majboor dil se na ho to paas aati nahin
 Khushi mere dil ko had se zyaada hai
 Tere sang zindagi bitaane ka iraada hai
 Oh.. preet ke yeh dhaage tu bhi sang mere gun
 Sun sahiba sun sun sun sun pyaar ki dhun
 Oh.. maine tujhe chun liya
 Tu bhi mujhe chun chun chun chun
 Sun sahiba sun pyaar ki dhun
 Aah aah
 
 Tu jo haan kahe to ban jaaye baat yeh
 Ho tera ishaara to chal doon main saath bhi - 2
 Tere liye sahiba naachungi main gaaungi
 Dil mein basa le tera ghar bhi basaaungi
 Oh.. daal de nigaahon kar de pyaar ka shagun
 Sun sahiba sun pyaar ki dhun
 
 Mera hi khoon e jigar dega gawa hi meri
 Tere hi haathon likhi shaayad tabaahi meri
 Ho tere hi haathon likhi shaayad tabaahi meri
 Dil tujhpe waara hai jaan tujhpe waarungi
 Aaye ke na aaye tera rasta nihaarungi
 Oh kar le kubul mujhe hoga bada pun
 Sun sahiba sun sun sun pyaar ki dhun
 Oh, maine tujhe chun liya
 Tu bhi mujhe chun chun chun chun
 Sun sahiba sun pyaar ki dhun
 Aah aah
 Oh sahiba sahiba, oh sahiba sahiba oh
 Oh maine tujhe chun liya tu bhi mujhe chun
 Sun sahiba sun
 


vrlovelife.blogspot.com