Chaand Sitaare Phool Aur Khushboo from Kaho Naa Pyaar Hai


Chaand sitaare phool aur khushboo
Yeh to saare puraane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Arre kaali ghataayein, barkha, savan ho..
Kaali ghataayein, barkha, savan
Yeh to sab afsaane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Andaaz hain uske naye naye
Hai naya naya deewanapan o..
Andaaz hain uske naye naye
Hai naya naya deewanapan o..
Pehna ke taj jawani ka
Hans ke laut gaya bachapan
Geet gazal sab kal ki baatein ho..
Geet gazal sab kal ki baatein
Uske naye taraane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Hai roop mein itna saadapan to
Kitna sundar hoga man ho..
Hai roop mein itna saadapan to
Kitna sundar hoga man ho..
Bin gehne aur singar bina
Woh to lagti hai dulhan
Kajal, bindiya, kangan, jhumke o..
Arre kajal, bindiya, kangan, jhumke
Yeh to guzre zamaane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Chaand sitaare phool aur khushboo
Yeh to saare puraane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Arre kaali ghataayein, barkha, savan ho..
Kaali ghataayein, barkha, savan
Yeh to sab afsaane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain

vrlovelife.blogspot.com